“”

Sache Satram Sai Enlightened -17/11/2024

“Through wisdom and good deeds, a human being holds the power to transcend past life impressions, uproot karmas, and attain divine unity. This is the true beauty of the human form.”

Sache Satram Sai Enlightened – 13/11/2024.

“Our karmas shape the course of our lives. Good karmas bring honor and glory, while bad karmas lead to disgrace. This is why it is essential to seek refuge in our Satguru and follow His guidance through regular Naam, Dhyan, and Simran. When we engage in daily Naam Jaap, our mind becomes illuminated, preventing us from committing wrong actions. We become more aware and vigilant, helping us avoid harmful or negative deeds”

Sache Satram ne kaha- 09/04/2024.

“Sache Satram ne samjhaya “Haqeeqi gyanvaan bano, na ki sirf, jaankaar.
kiyon ki, gyan woh hai jo amal mein aaye,
aur jaanna sirf woh,jo sirf baaton aur ahankaar ko barhaaye.
so usi Sache Sai se yeh hi ardas ki,
Hum sabhi ko aisi sumat den,
ki unke vachnon per, amal kar ke, jivan ko uttam banaayen.”

Sache Satram ne samjhaya- 04/04/2024.

“Zindagi mein do cheezen badi aham hain, Ishwar ka ddar aur Satguru ka dar, agar Ishwar ka ddar ya khauf rahe ga toh papon se door rahen ge, aur Sache Sai ka dar rahe ga toh, rehmaten barasti rahengi, aur hameshah phalte aur phoolte rahen ge.”

Sache Satram ne kaha- 02/03/2022.

” Achhe svabhav wale ko kusang aise nahi bigaad sakta, jaise, saanpon se lipte rehne per bhi, chandan vraksh ko, vish/zeher.”

Sache Satram ne kaha- 27/02/2022.

” Vyarth vicharon (bekaar soch) ko, naa aane do, kiyon ki unse jivan shakti va shaanti, kheen va khatam ho jaati hai.”

Sache Satram ne kaha- 26/02/2022.

” Naakaarmat/ manfi ya galat soch walon ke, sanng se door raho, kiyon ki , na shaanti se rehte hain, aur na sakoon se rehne dete hain.”

Sache Satram ne kaha- 25/02/2022.

” Paise padarth, ( maal va milkiyat) ka sadupyog ( sahi istemaal) sukhi aur shahukar banaata hai .”

Sache Satram ne kaha- 24/02/2022.

” Khushiyan baantne se hi, khushiyan barhti hain.”

Sache Satram ne kaha- 23/02/2022.

” Kisi se dwesh bhav (nafrat/keena) na rakho kiyon ki, uss se sukh shaan, va maan nasht ho jaate hain.”

Sache Satram ne kaha- 22/02/2022.

” Tanav se door raho, kiyon ki, uss se ashanti, vyakulta, (pareshani) sehmapan, mayusi, chinta va bhayabheetgi (khaufzadgi) aate hain.”

Sache Satram ne kaha- 21/00/2022.

” Insan jalan mein kisi aur ko nahi per apni khushiyun ko jalaata hai, so jivan ko jalaao nahi pr sajaao.”

Sache Satram ne kaha- 19/02/2022.

“Saamne wale ko nahi, per khud ko dekho, ki tum kaise ho, kyon ki sukh, shaan va shanti, dusre ke nahi, per apne achhe hone se milti hai .”

Sache Satram ne kaha- 18/02/2022.

” Sachai Seva aur Simran se Sansar mein bhagya aur naseeb khulta hai, aur aage Swarg ke dwaar .”

Sache Satram ne kaha- 12/02/2022.

” Prabhu ki rehmaten, sadaa barasti rehti hain, so ussmein se, dil se, dayaa va dua paao.”

Sache Satram ne kaha- 11/02/2022.

” Kisi karya ko asambhav (naa mumkin) samajhne wale kabhi safal, aur, sambhav ya saadharann samajhne wale kabhi asafal nahi hote.”

Sache Satram ne kaha- 10/02/2022.

” Achhe swabhav wale ko, kusang aise nahi bigaad sakta jaise, saanpon se lipte rehne per bhi chandan vraksh ko vish/zaher.”

Sache Satram ne kaha- 09/02/2022.

” Thora sa amal bari bari baaton (zabaan darazi) se kahin zyada takatvar hota hai, so, Satkarmi bano.”

Sache Satram ne kaha- 08/02/2022.

” Sheel va sharam (adab va hayaa) insaan ko sresht va uttamta (shaan va maan) bakshte hain, so, sheelvaan bano.”

Sache Satram ne kaha- 04/02/2022.

” Baant kar khaane wale, sadaa bhagyashaali hote hain.”

Sache Satram ne kaha- 02/02/2022.

“Jaise rog ke rehte khaane mein, swad nahi aata, waise paapon ke rehte puja ya prarthna mein, chaen nahi aata. so, paapon se pare raho.”

Sache Satram ne kaha- 31/01/2022.

” Aakad ya Ahankaar mein, sar ooncha na karen, kyon ki, sar jhukaane walon ke gale mein hi, haar, paakhar ya maala parte hain.”

Sache Satram ne kaha- 30/01/2022.

“Doori ya nazdiki se nahi, per dil ki gehraiyon se rishte judte hain.”

Sache Satram ne kaha- 29/01/2022.

” Insan jalan mein, kisi aur ko nahi per apni khushiyon ko jalaata hai, so jivan ko jalaao nahi per sajaao.”

Sache Satram ne kaha- 27/01/2022.

” Marne ke baad kisi ki khamiyan bhulane se pehle, usko jeete ji bhulane wala, sada sukhi rehta hai.”

Sache Satram ne kaha- 23/01/2022.

“Sansar insaan ke karam dekhta hai, aur bhagwan unki niyat, aur bhagya bhagwan ke haath mein hai, insaan ke nahi, so niyat saaf rakho .”

Sache Satram ne kaha- 22/01/2022.

” Ahankar aur krodh se bacho kyon ki uss se izzat jaati hai aur aayu/umar ghat ti hai.”

Sache Satram ne kaha- 21/01/2022.

” Alasya mein samya na ganwaane wale hi, kaamiyaabiyon ko chhoote hain.”

Sache Satram ne kaha- 19/01/2022.

“Jaise Hadd se zyada barsaat ya dhoop dono dukhi karte hain, vaise zyada bolna ya khamoshi, kisi ko nahi bhaate .”

Sache Satram ne kaha- 10/01/2022.

“Shaki mizaj na bano, kiyon ki shak sanaahe, va shanka aise rog hain, jo shanti ko bhang (barbaad) aur rishton ko tanng kar dete hain.”

Sache Satram ne kaha- 08/01/2022.

“Thora sa amal, badi badi baaton (jawaab daraazi ) se kahin zyada taakatvar hoti hai, so satkarmi bano.”

Sache Satram ne kaha- 07/01/2022.

“Guru sandesh ya updesh ko, jivan mein laa kar, usse sab mein baantna hi, sachi Guru dakshina ( bheta) hai .”

Sache Satram ne kaha- 18/11/2021.

” Kabhi kisi kaaran, vishwas dagmagaane per, ekdam Prabhu se Atalvishvasi bane rehne ki prarthna karne wale, sadaa rehmaten, paate hain.”

Sache Satram ne kaha- 16/11/2021.

” Marne ke baad kisi ki khaamiyaan bhulane se pehle usko, jeete ji bhulaane wala, sadaa sukhi rehta hai.”

Sache Satram ne kaha- 15/11/2021.

” Yeh sansaar karam kshetra hai, yahaan sabhi ka khata ya pehchaan, karmon se hoti hai, so apne karam sanbhaalo .”

Sache Satram ne kaha- 28/10/2021.

” Dusron mein achhaiyaan dekhne aur apnaane wale hi, haqeeqat mein, uttamta ya azmat ko paate hain.”

Sache Satram ne kaha- 27/10/2021.

” Ghar mein atithi ko aadar dene se, wahaan se musibat chali jaati hai, so hameshah atithi ka, aadar samaan karen.”

Sache Satram ne kaha- 20/10/2021.

” Insan aalasya aur kukaram (durachar/badkaari) se jitna door hota hai, woh, Ishwar va Satguru ke utna hi qareeb aata hai.”

Sache Satram ne kaha- 18/10/2021.

“Maanav jivan Maalik ki rehmat hai, aur iss mein, aisa kuchh karo ki,mahaan ban jao.”

Sache Satram ne kaha- 12/10/2021.

” Naa samajh ya kam aqal se bahes karna, apni naa samjhi hai, so, samajhdar bano aur aqal ka kaam karo.”

Sache Satram ne kaha- 11/10/2021.

” Jaise hadd se zyada barsaat ya dhoop, dono dukhi karte hain, waise zyada bolna ya bilkul khamoshi, kisi ko nahi bhaate.”

Sache Satram ne kaha- 04/10/2021.

” Guru sandesh ya updesh ko jivan mein laakar, usse sab mein baantna hi, sachi Guru Dakshina ( bheta) hai ”

Sache Satram ne kaha- 02/10/2021.

” Galti (khataa) ki maafi insaan, (jis ka dil dukhaaya) se aur paap ki maafi/ pachhtawa, (tauba) Ishwar se maango.”

Sache Satram ne kaha- 30/09/2021.

” Dukh ko bhi Prabhu Kripa va rehmat samajhne wale, Prabhu Goad (mukti) paate hain.”

Sache Satram ne kaha- 29/09/2021.

” Gyan ki shakti, uske amal mein hai, baaton mein nahin.”

Sache Satram ne kaha- 28/09/2021.

” Vishwas aur bharosa rakhne wale, duniya badal dete hain, aur woh khone wale, khud, kho jaate hain, so vishwasi bano, avishwaasi, kabhi bhi nahi.”

Sache Satram ne kaha- 27/09/2021.

” Kisi se dwesh bhav ( Nafrat/keena) na rakho, kiyon ki, uss se sukh shaan, va maan, nasht ho jaate hain.”

Sache Satram ne kaha- 21/09/2021.

” Kabhi kisi kaaran, vishvaas dagmagaane per, ekdam Prabhu se atal vishvaasi bane rehne ki Prarthna karne wale, sadaa rehmaten paate hain.”

Sache Satram ne kaha- 20/09/2021.

” Marne ke baad kisi ki khaamiyaan bhulaane se pehle, usko jeete ji bhulaane wala, sadaa sukhi rehta hai.”

Sache Satram ne kaha- 18/09/2021.

” Sansaar karam kshetra hai, yahaan sabhi ka khaata ya pehchaan, karmon se hoti hai, so apne karam sanwaro .”

Sache Satram ne kaha- 16/09/2021.

” Zindagi tau, chali jaa rahi hai, aur chali jaaye gi, iske chale jaane se pehle kuchh aisa karo, jo yahan kuchh de jaao, aur wahaan paao.”

Sache Satram ne kaha- 14/09/2021.

” Jaldbazi mein nahi, per soch samajh ker bolo, kyon ki soch samajh ker bolne walon ko, phir pachhtana nahin parta.”

Sache Satram ne kaha- 13/09/2021.

” Apne bachon ko apne se zyada yogya (laayak/kabil) banao, aur unhen shiksha (vidya/taaleem) ke saath sanskaron se bharo.”

Sache Satram ne kaha- 11/09/2021.

” Insan paise padaarath ya kul jaati se nahi, per sunder swabhav, aur uttam aachrann (behter vyavhaar) se mahaan banta hai.”

Sache Satram ne kaha- 04/09/2021.

” Paraajya (shikast) kisi ko bhi na do, per jeeto sab ko.”

Sache Satram ne kaha- 03/09/2021.

” Doosron ki nazron mein achha dikhaane ke bajaaye, Prabhu ki nazron mein achha rehne wale oonchaiyaan paate hain.”

Sache Satram ne kaha- 31/00/2021.

” Tanaav se door raho, kiyon ki uss se, ashanti, vyakulta, ( pareshani) sehmaapan ,mayusi, chinta va bhayabheetgi, ( khaufzadgi) aate hain.”

Sache Satram ne kaha- 30/08/2021.

” Makaan ke saath, mann ko bhi saaf rakhne se jivan muskaan ban jaata hai.”

Sache Satram ne kaha- 29/08/2021.

” Ahankar aur Krodh se bacho, kiyon ki uss se izzat jaati hai, aur, aayu/umar ghat ti hai .”

Sache Satram ne kaha- 28/08/2021.

” Agar bachon se izat paana chahte ho tau, buzurgon ka aadar karo.”

Sache Satram ne kaha- 27/08/2021.

” Dusron mein achhaiyaan dekhne aur apnaane wale hi, haqeeqat mein, uttamtaa ya azmat ko paate hain.”

Sache Satram ne kaha- 25/08/2021.

” Ghar mein atithi ko aadar dene se, wahaan se musibat chali jaati hai, so hameshah atithi ka aadar, sanmaan karen.”

Sache Satram ne kaha- 24/08/2021.

” Krodh se door raho kiyon ki, uss se ghrinda yaa tiraskaar (nafrat ya zilat) ko dekhna parta hai.”

Sache Satram ne kaha- 23/08/2021.

” Insaan, Aalasya aur kukaram (durachar/badkari) se jitna door hota hai, wahh Ishwar aur Satguru ke, utna qareeb aata hai.”

Sache Satram ne kaha- 20/08/2021.

” Bahut gunn hone ke baawajood, sirf ek awgunn, takleef, tabaahi, va barbaadi ka kaaran ban sakta hai, so har waqt, sanbhal ke raho .”

Sache Satram ne kaha- 17/08/2021.

” Dil ka deep jalaao. Jaise wah, mahal aur jhopdi mein, ek jaisa prakash deta hai, waise bina kisi bhed bhaav, sab ke liye, ek samaan ho jaao.”

Sache Satram ne kaha- 16/08/2021.

” Maanav jivan Maalik ki rehmat hai, aur iss mein aisa kuchh karo ki, Mahaan ban jao.”

Sache Satram ne kaha- 15/08/2021.

” Sansaar insaan ke karam dekhta hai, aur bhagwaan uski niyat, aur bhaagya, bhagwaan ki haath mein hai, insaan ke nahin, so niyat saaf rakho.”

Sache Satram ne kaha- 14/08/2021.

” Mehnat aur sabar karne wale, kabhi asafal nahi hote.”

Sache Satram ne kaha- 13/08/2021.

” Dusron se achha vyahwaar karne se, jivan khushi aur khushhaali se bhar jaata hai.”

Sache Satram ne kaha- 12/08/2021.

“Na Samajh ya kam aqal se behes karna, apni naa samjhi hai, so, samajhdaar bano, aur aqal ka kaam karo .”

Sache Satram ne kaha- 11/08/2021.

” Sansaar ko dekhne ke liye tau, sab koi karta rehta hai, per kuchh Prabhu ko dekhne ke liye, karne wale hi, asal bhagyashaali hote hain.”

Sache Satram ne kaha- 10/08/2021.

“Jaise hadd se zyada, barsaat ya dhoop , dono dukhi karte hain, waise, zyada bolna ya bilkul khamoshi, kisi ko nahi bhaate.”

Sache Satram ne kaha- 09/08/2021.

” Kisi ki galti per krodh karne se pehle, unki niyat dekhne wale, phir kabhi nahi pachhtaate.”

Sache Satram ne kaha- 07/08/2021.

” Apne dukh jataane ke bajaaye, Prabhu se mile sukhon ka dhanyawad karne walon per, rehmaten aur khushiyan barasti hain.”

Sache Satram ne kaha- 06/08/2021.

” Shaki mizaj na bano, kiyon ki, shak, sanse va Shanka, aise rog hain, jo shanti ko bhang (barbaad) aur rishton ko tang kar dete hain.”

Sache Satram ne kaha- 05/08/2021.

“Seva ya Satkarmon mein, dusron ko saath lekar chalna hi, bahut bada punya (savaab) ya swabhagya hai .”

Sache Satram ne kaha- 04/08/2021.

” Seva ya Satkarmon mein, dusron ko saath lekar chalna hi, bahut bada punya (savaab) ya swabhagya hai.”

Sache Satram ne kaha- 03/08/2021.

” Buzurgon ki duaaen va Guru kripa, aur kuchh karne ki chaahat va koshsh, vifalta ko safalta ( naakaami ko kaamyaabi) mein badal deti hai.”

Sache Satram ne kaha- 02/08/2021.

” Apna mann, (Dil va Dimag) shudh va saaf rakho, kiyon ki, mann shudh hone se, sab kaarya shudh va safal, ho jaate hain .”

Sache Satram ne kaha- 31/07/2021.

” Baant kar khaane wale sadaa bhagyashaali hote hain.”

Sache Satram ne kaha- 28/07/2021.

“Duniya mein achhe logon ki kami nahi, sirf apni nazar achhi honi chahiye.”

Sache Satram ne kaha- 27/07/2021.

“Satguru sharan, ya, Sant sanng mein, durachari (badchaal) bhi, charitravaan (baa kirdaar ya baa ikhlaaq) ban jaata hai.”

Sache Satram ne kaha- 25/07/2021.

“apni prashansa ya taareef sun kar, khush hone wale, apni ninda ya gilaa sun ke apna santulan ya tawazun kho baithhte hain.”

Sache Satram ne kaha- 19/07/2021.

” Dukh ke samay, ghabrao nahin, kiyon ki, jaise patjhad ke baad phir vriksh mein phal lagte hain, waise, dukhon ke baad phir, sukh aane wale hain.”

Sache Satram ne kaha- 06/07/2021.

” Makaan ke saath, mann ko bhi saaf rakhne se, jivan muskaan ban jaata hai.”

Sache Satram ne kaha- 26/06/2021.

“Khushiyan aap ke dil mein bhari hain, paise padarthon ( maal milkiyat) mein nahi, so dil ko, simran se sajao.”

Sache Satram ne kaha- 23/06/2021.

“Dusron ko nahi, khud ko badlo, kiyon ki, khud ko badalne se hi dusre badalte hain.”

Sache Satram ne kaha- 20/06/2021.

“Bookhe ko bhojan khilane se, papon se mukti aur kaaryon mein safalta milti hai.”

Sache Satram ne kaha- 17/06/2021.

“Satguru vachan se gyan prapt, aur sangg se mann nirmal ( naram/saaf) hota hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Yash va keerti (neki va namachaar) hi insaan ka asal aabhushan (Zewar) hain.”

Sache Satram ne kaha-

“Kalesh rahit ghar dharti per Mandir hota hai aur us me rahne wale swarg ka sukh pate hain.”

Sache Satram ne kaha-

“Jaise sab bachon ka ek hona Mata ki khushi hoti hai Vaise ham sab ki ekta (universal brotherhood) ESHWARI rahmat ban jati hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Jo sarv ka kalyan chahata hai uska apna apne aap ho jata hai. Aur sirf apna kalyan chahane wala dhundta aur daurta rahta hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Man ekagir hoga samadhan ( mutmain) hone se,aur woh hoga achhi soch aur achhe karam karne se . Aur sab hoga Dhiyan aur NAAM se.”

Sache Satram ne kaha-

“Koi bhi shubh karya karte waqt irada majboot aur shanka rati matra bhi na ho to karya avashiya sidh hoga.”

Sache Satram ne kaha-

“Sansar me bacha aane ke baad naam aata hai/rakha jata hai, per adhyatmikta me NAAM japne ke bad PARAMATMA milta hai. So NAAM jap PRABHU pa.”

Sache Satram ne kaha-

“ESHWAR ko aankhon se nahi per shudh man aur pavitra budhi se dekho. Fir jahan kahin nazar jae to WOH hi WOH milega.”

Sache Satram ne kaha-

“Galti karna mamuli, maan lena badi,per use galat samajh ke fir kabhi na karna sab se onchi baat hai.Jo Insan se Mahan bana deti hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Jagat Bhagya banane ki jagah hai,qiyon ki idhir hi to hum Sat-Karm aur Naam Dhiyan karte hue sab khushiyon ke sath ESHWAR tak pa sakte hain.”

Sache Satram ne kaha-

“Jaise andhera kitna bhi gahera ho par ek shole ke aage khatam ho jata hai vaise burai kitni bhi ho achi soch ke aate hi mit jati hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Bhalai ki sirf chahat hi mandai ki shakti khatm kar deti hai.Bhalai karna to insan ko Mahan bana deta hai. ”

Sache Satram ne kaha-

“Veerta/ bahaduri woh nahin jo kisi ko marne/izat ganwane me lage par veerta woh hai jo kisi ki izat bachane me lage.”

Sache Satram ne kaha-

“Karm ke fal se koi mukt nahin hota.So ya karm ESHWAR arpit karo aur mukt ho jao ya sat karm karo aur dukh se door sada sukhi raho.”

Sache Satram ne kaha-

“Jo doosre ke bhagya uday (khulte) dekh kar khud aanand v hulas mahsus karta hai. To Malik unki jholi khushiyon se bhar deta hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Alsi sukhi ,Ziyada sone wala vidyawan, ahankari vairagy aur hinsik(satane wala)dayalu nahin hote.So durgun mitao sada sukh pao.”

Sache Satram ne kaha-

“Jaise mahawat mast haathi ko lohe ke keel se vash kar leta hai vaise SATGURU, PRABHU NAAM se dooshit bhavnao ko mita deta hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Kisi ke mushkil samay vaqt us ki majboriyon se faaeda uthane ke bajae madad karna hi manavta ki Mahanta kahilata hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Shubh karam karte agar koi galat biyani/ilzam bazi kare to safai dene ke bajae karam me lage raho kiyon ke Sach akhir Sach hoga.”

Sache Satram ne kaha-

“Jo punya kamaye woh yash/rahmat ka par jo paap bhavna samapt kar jae woh ESHWAR prapti ka adhikari hota hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Kirodh se pireet,ahankar se namrata,maya se maitri,(rishtedari)aur lobh se sab kuch nasht ho jata hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Satguru ka Chit me chintan (dhiyan) aadesh pe amal, hirde me hulas aur mukh pe HARI NAAM hone se MOKSH ke duwar khul jate hain.”

Sache Satram ne kaha-

“Bhagya kismat se, kismat karmon se, karam vicharon se aur woh bante hain SATGURU kripa se So SAT sharan pa ke bhagyashali bano.”

Sache Satram ne kaha-

“Koi bhi bhitka hua sirf prem se hi sudhar jae ga.Baaki maar/fitkar use deeth kar sakti hai.So khud premi ban ke auron ko prem karo.”

Sache Satram ne kaha-

“Satsang man, chit va vichar ko sthar/ekagar aur kusang vichlit (bhitkata) karta hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Jo kisi ke uksane/bujhane ke bagair shubh karmon aur NAAM simran ke karan mirtiyu samay muskarata chale.Samjho woh swarg pahuncha.”

Sache Satram ne kaha-

“Chinta chita (arthi) aur upaye jiwan ke saman hai. So kisi bhi samasya me ulajhne ke bajaye use suljhane ki karo. Aur sada sukhi raho.”

Sache Satram ne kaha-

“Sukh ya dukh Bhagya se Ziyada apne karmon ka fal hota hai. So karm achhe karo aur sada sukhi raho.”

Sache Satram ne kaha-

“Kabhi bhi karz ko kam, Ghav (Zakham) ko halka, Aag ko tanik na samjho. Yah dekhne me thore,barh kar sab kuchh khatam kar dete hain.”

Sache Satram ne kaha-

“Sach yeh hoga ke ESHWAR ko mante ho to Naam, Dhiyan se use dekho.Atma ko mante ho use pehchano ,yahi to Param Aanand ki prapti hai .”

Sache Satram ne kaha-

“Aise karm karo jis se auron ko nahin ESHWAR ki rahmat ko pa sako kiyon ke WOH razi to sara jag razi. Fir lok parlok dono tere hain.”

Sache Satram ne kaha-

“Jaise vishaila sarp apneESH(Shiv) pas aane pe shantmai hota hai vaise Satguru sharan me aane se ahankari/papi bhi parm aanand pata hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Jis se kirodh,ahankar, madh, moh, lobh v ghirna (nifrat) mite wohi tiyag hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Shudhi sirf sharir ki safai ka naam nahi per pavitra NAAM se, shudh hirde me ESHWAR ko basana hi asal shudhi hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Jo auro ko satae/mare woh pashu, per jo su-vichar v sad- bhav se apne parae kya pashon tak se prem karte PRABHU pa le woh manav hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Jo apne bachon ko kha jae woh sarpni per jo paap karm kar ke Pahele janmon ke satya karmon ko kha jae woh puri manavta ka katil hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Jo chahat v bhog samagri( ainsh v ashrat ka saman)hote hue bhi use su ichha se peeth kar ke NAAM Simran kare woh mahan tiyagi hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Sat-karm karne wale mahan hote hain . Unko dooshit/mailli aankh se dekhne wale khud doshi/papi ban jate hain.So samajh se dekho. ”

Sache Satram ne kaha-

“Jis ka man kisi bhi sthithi/avastha (Halat) me sam (equal) rahta hai usi ke sab karya sidh ho jate hain.”

Sache Satram ne kaha-

“Jaise labh v hani ka vichar kar ke dhandha kiya jata hai waise agar punya ya paap ko samne rakh ke karm kiya jae to jiwan sanwar jae.”

Sache Satram ne kaha-

“Bhalai aur burai ek hi man ki do avasthaen hain. burai mitne pe Manavta aur Bhalai mitne pe pashuvta zahir hoti hai .”

Sache Satram ne kaha-

“Har bat ko tol vichar ke utamta (bahitri) ko svikar aur kharabi ko parityag (chhorna)karne wala hi “Mahan Manav”hota hai .”

Sache Satram ne kaha-

“Jo aae hue se kathor bolte hue uska triskar (izat utara) karte hain,smay aane per woh use khud bhugatna prta hai.So sab ki izat karo.”

Sache Satram ne kaha-

“Jise jan-ne aur dekhne ke baad baki kuchh dekhne aur jan-ne ko na rah jae, jis me leen hone se janm marn mit jae USE hi ESHWAR jaan.”

Sache Satram ne kaha-

“Naam, Dhiyan/Simran aesa karo ke PRABHU ko pa lo agar yeh na ho pae to aise bano ke WOH tumhe apna le. Dono me Bhageshil aap hi honge.”

Sache Satram ne kaha-

“Yeh janam agle karmon aur ab ke karmon ka fal agla janam hoga.Per NAAM Simran sab bandhan mukt kar ke PARMANAND se mila deta hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Ank, dil aur dimag ki pavitratai ka nam hai Raksha Bandhan.Yane pavitra dua ESHWAR dwar kabool hoke pane wale ke liye kawach ban jati hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Ahankar insan ko sukar ke rakh deta hai kiyon ke ya auron ki izat ko uchhal kar ya khud ki izat ke jane ke dar se akela rah jata hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Satguru deeksha pa kar khud ko amratmai NAAM me leen kar dene wala hi pavtartai se bhar kar prakashman ho ke PARMATMA pa leta hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Agar jane anjane me galti ho jaye to us ka praishchit /pachhtava yeh hai ki ek bar tobah kar aur woh galti fir kabhi na ho paae.”

Sache Satram ne kaha-

“Achhe insan ko har kisi me achhai dekhne me aati hai aur kisi me bhi kharabi dikhai nahi deti.So behtri karo aur oonche bano.”

Sache Satram ne kaha-

“Amal ke bagair jaankari,rakhne wale insan sab kuchh samajhte hue bhi haqiqat se peeche rah jate hain.”

Sache Satram ne kaha-

“Piyar ka maqsad yeh nahin ke tum kitna piyar karte ho per yeh hai ke tumhen kitna piyar karte hain. Fir khud ko us kabil banao/laek banao.”

Sache Satram ne kaha-

“Hari bhakt(zarurat mand) ki purti,bhukhe ko khilane, aur ahinsa bhav ko apnane wale vyakti (insan) ESHWARI kripa /karuna ke patra hote hain.”

Sache Satram ne kaha-

“Satguru se paye giyan ka achran karte hue, Dhiyan aur Naam se apne man ko mandir/tirth banane wala hi PRABHU prapti ka patr hota hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Kirodh ko khatam karne wala budhi, bal, shakti aur samajh ka swmi ban jata hai. So shantmai ho kar sarv shakti ka sahib ban jaen.”

Sache Satram ne kaha-

“Apni bhulon ko dekhna wale mahan ban jate hain aur auron ki bhulon ko dekhne wale bhatakte rahte hain.”

Sache Satram ne kaha-

“Jahan har ek ka satkar aur sanman ho wahan laxmi, sukh aur samvirdhi ka sada nivas rahta hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Laxmi/Daulat jitni kharchen fir aa jati hai per Vani ko jiyada na kharchen kiyon ki jyada bolne se gai izat mushkil se vapas aati hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Jhagre ko talne/vikhad ko mitane ke liye,samajhte hue dhoka khane wala hi sab se jyada samajhdar hota hai aur tezi se pragati karta hai .”

Sache Satram ne kaha-

“Sadhvta/Santpan vesh (poshak) se nahin per gunon se hoti hai. Aur woh hai Sahin Shilta (bardasht ki himat) aur Daya.”

Sache Satram ne kaha-

“Jaise chappar (roof) majboot hone se ghar varsha me bacha raheta hai aise dhiyan karne se man nafrat se khali raheta hai.”

Sache Satram ne kaha-

” Indriyon (beja khawahishon) per chalne wala insaan sab pirkar(har tarha) se shaktishali hone par bhi nasht(tabah) ho jata hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Agar chahate ho ki patni Sita ki tarha patwirta ho to khud ko Ram ki tarha sirisht (utam/ooncha) banao us se us(patni) ki pooja bhi sarthik(safal/sajai) ho jae gi aur tum bhi poojnai (mahaan/aaala) ban jao ge.”

Sache Satram ne kaha-

“Sansar me dena/ lena(Karam karna) vanhwar hai pahele to aise do ke fir lena na pare (apna karam Eshwar arpan karo/phal ki icha na rakho) agar aisa na kar sako to aisa kuch do jab vapas mile to achha/sukhdaek lage.”

Sache Satram ne kaha-

“jaise achhi vastu (cheez)ulta bolne se bigar jati hai aise ulti vastu achha bolne se sudhar jati hai.So shubh bolo sukh pao.”

Sache Satram ne kaha-

“jaise sansari dhan jeevan/burahpan me sukh ki tamana ho sakta hai per shubh karam aur AATAM DHAN(Naam Simran) lok aur parlok dono ka sahara hota hai. Is liye yahan sukh pane ke liye imaandari aur aage sukhi rahene ke liye NAAM DHAN ikahta karo. To lok /parlok dono sanwar jae ge.”

Sache Satram ne kaha-

“Insaan ka shaktishali(Takatwar)hona is me nahi ke woh doosre ko kitna zer/neecha dikha sakta hai per asal shaktishali woh hai ke woh kitna sahin (bardhasht) kar sakta hai.Shakti ishwar ki rahmat hai use ganwao nahi per sanbhal ke rakho/us ki rah me lagao.”

Sache Satram ne kaha-

“Satguru charno me baithne se ahankar aur Naam simran se vikakar khatam hote hain fir Naam Dhun ke pavtar parkash me Parmatma pirapti hoti hai. So Satguru charno me baith ke NAAM rang me racho aur manavta ki mahanta(prabhu pirapti) ko pahuncho.”

Sache Satram ne kaha-

“Har insan Eshwar ki oochi den hai her ek se pyar karne Eshwar se piyar, aur kisi se nifrat/chut chat Eshwar se mukh morna hai .”

Sache Satram ne kaha-

“Prem ka arth(maksad)dikhana nahin per vanhwar me apno padosyon aur har jeev ke sath ekta/apnapan khud anbhav (mahsus ) karna hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Kanwar ju ne sewa me pagri ki parwah nahin ki ab kabhi bhi koi sansar ki gila tujhe nahin lage gi aur tu hanste hanste bhawsagar par kar lega “sada yas/neki se bhare aise Sant ke janm utsaw par aap sabhi ko aashirwad/badhaiyan.”

Sache Satram ne kaha-

“Sain Kanwarram ko panw saaf karte dekh Sache Satram ne kaha Kanwar saaf karna hai to dil ko kar, panw fir mail me maile ho jaen ge par agar dil saaf hoi to jahan jahan yeh panw paren ge woh dharti bhi pawter ho jae gi.”aur us din se Sain ne kabhi panw nahin per dil saaf rakha. Utsaw ki badhaeyan.”

Sache Satram ne kaha-

“Subudhi (achi soch) wale ke parae bhi apne aur ku (kharab) budhi wale ke apne bhi parae ho jate hain.So subudhi lao aur piyar pao.”

Sache Satram ne kaha-

“Pirarthna ghare hue shabdon ka nahi per dil ki gahirayon se aae aawaz ka nam hai. Jo dil se chal kar data tak pahunchati hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Vishay vasna heen(bad niyati/bkar tmna ke siwa) prem se hi adhyatmik prkash(rohani roshni/Eshwrta) tak pahuncha ja sakta hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Ahankar bhara jiwan chhor dena hi tiyag hai kiyon ke kamna rahit (bagair mufad) karam hi sarav utam baat/tiyag ya puja hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Shudh bhav va Naam simran se SHUDH CHAITNYA(ESHWAR) tarf Yatra/pirapti hi jiwan ka asal aanand hai baki sab thore wakt ke liya.”

Sache Satram ne kaha-

“Pkhshi jo na bote, na kaat te, na bitorte hain to bhi PIRBHU unhe khila rha hai. Insano Tumeh bhrwsa rkhne pe woh kitna dega?.Samjho.”

Sache Satram ne kaha-

“Haath me aae avsar (Moka) ko kabhi na khone do,kiyon ke ESHWAR jiwan me har insan ko 1 avsar jarur deta hai jis me woh dhan ,vaibhav(shaan) aur sanman(izat) ke saath apna jiwan vitit kar(guzar) sake.Jiwan mile avsar me Naam dhiyao aur Param aanand pao.”

Sache Satram ne kaha-

“Utho dirdh vishwas/majbut irade se kram krte sfalta/kamyabi ki sirhiyan charhte jao kyon ke asafalta haar me nhi mayusi me hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Ahinsa (adam tashadud) har aashram ka hirday(dil) ,sab shastron (pavtr kitabon) ka saar aur sab guno ka hakiki roop hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Adhikar (hak) jamane ki soch chhor sum bhav(yakjoi) ka vichar aur amal hi prem ki dor ko majboot rakh sakta hai .”

Sache Satram ne kaha-

“Jaise pthar se hira lete hain vaise kisi bhi insan pagal, bkwasi tak se sarbhut (bahitri) le lo. Kiyon ke koi bhi achhai se khali nahin.”

Sache Satram ne kaha-

“Dharam neti(insanyat) per chalne wala marne ke bad bhi zindah aur adharmi zindah hote bhi mare se badtur hota hai .”

Sache Satram ne kaha-

“Manav janam,mah purush ki sharn aur mukti ki ichha ESHWAR ki rhmat hain use pakar jiwan ki saflta tak pahuncho .”

Sache Satram ne kaha-

“Piyar karna Mata (maan) se seekho jis ko apne chote,bare sabhi bache piyare lagte hain. Aur sab ko sukhi dekh khush raheti hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Giyan ka asal maksad hai apni AATMA ko dekh sirashti (kaenat) ko dekhna ke sab ek hi hai aur PARMATMA tak phunchna.”

Sache Satram ne kaha-

“Guru mahama karte aur parsan rahte jo sada guru aadeshon ka palan karte aur NAAM japte hain. Wohi mokhsh pad prapat karte hain.”

Sache Satram ne kaha-

“Paap me prna Manv Subhav, fir fir karna shaitan subhav, paap per dukhi hona SANT SUBHAV aur sub papon se mukt hona ESHWAR SUBHAV hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Jiwan ek pushp (phool ) ki bhanti(tarah) jio aur us ki prem bhari madhu(shahd/honey) sub me banto.”

Sache Satram ne kaha-

“Insan ki virdhi vinash(barhat/khatma)us ke apne kartavya(karam/chalat)per hai.Us me sach virdhi aur lobh sarvanash karta hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Naam /dhiya n tumhe ek insaan/veer/himat bhara aur samajhdar banae ga Jis me bhya/(khaof)/lobh/nifrat naam ki koi jagah nahi hoti.”

Sache Satram ne kaha-

“Yog yane ESHWAR milan.Kiyon ke Yog se sharir,man aur Aatman shudh ho ke Moksh (mukti/nirwan/Eshwarta) ki pirapti hoti hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Kisi ko musibat me dekh khush na ho,kiyon ke tumhari yeh hrkat us per rhmat aur tum per musibat la sakti hai sada achha socho.”

Sache Satram ne kaha-

“Jis tarah lakri ke do tukre ghasne se agni parjuelit hoti hai, vaise lagatar dhiyan se giyan agni(shudh parkash) paida hota hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Jaise sone ki parakh agni me hoti hai, vaise veer aur dheer ki parakh dukh/musibat ke waqt hoti hai. Jo bina ghabrae kaam karte hain.”

Sache Satram ne kaha-

“Jaise khujli ka rogi khujlane ke dukh ko bhi sukh samajhta hai vaise galat insan paap ko bhi sahi samajh kar nark pata hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Satsang dukh mitate, paap kat te aur jiwan sudharte MALIK milan ka naam hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Jaisa apna laksh(maksad) nirdharit karoge vaise hi tumhara jiwan hoga. laksh ooncha rakho jiwan insaniyat ki oonchai chhue ga.”

Sache Satram ne kaha-

“Gungunane ka man kare to ESHWAR gaan, Dhiyan ka man kare to Pirbhu/Satguru Dhiyan Simran ka man kare to NAAM Simran, Sang ka man kare to Sant sang, aur bantne ka man kare to dukhyaron me sukh banta karo.Is pirkar (tarah) sab papon se mukti mil jaye gi.”

Sache Satram ne kaha-

“Mukt hue mahan santon ki samajh se chalne se mukti aur sansar me bandhe logon ki mat se chalne se bandhan hi milega.”

Sache Satram ne kaha-

“Abhiman (ahankar/takbar) aayu/umar, sampati (maal,milkyat) charitra (ikhlaque/kirdar) aur izat haran (khatm) karta hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Pirbhu bhagat manav ka mitir aur Pirbhu shatru manavta ka shatru hota hai isliye manav ka shatru Pirbhu bhagat ho hi nahi sakta.”

Sache Satram ne kaha-

“Galti se bhi badi kharab woh hoshiyari hai jo kharabi chhipane me priyog (istemal) ki jati hai .”

Sache Satram ne kaha-

” Apna man sab se siresht tirath hai jise shudh krne se sasnsar ke sukh to kya SACHE SAIN (ESHWAR) tak ko paya jata hai .”

Sache Satram ne kaha-

“ESHWAR ka Naam to sabhi lete hain pr haqiqat/fal pirapti sirf satguru ki kirpa se pae ESHWAR NAAM ke jaap aur dhiyan se hi hogi.”

Sache Satram ne kaha-

“Satguru se pae Pavtr Naam ko hirday me basane wale janam/mirtu se mukti pa ke Moksh(ESHWAR) ko prapat hote hain.”

Sache Satram ne kaha-

“ESHWAR bhagat sda aanand mein rhete hain. Kiyon ke NAAM simran kar ke un ke sab dukh aur vishay vikar khatm ho chuken hain.”

Sache Satram ne kaha-

” NAAM Simran se yog dirashti (nazar) pa kar insaan jiwan mukti v aatman ka rahsya (haqiqat/asliyat) tak pa leta hai.”

Sache Satram ne kaha-

” Santo ke vachno pe amal se bhav sagar paar pahuncha ja sakta hai kiyon ki sant woh hi kahte hain jo haqiqat dekh chuke hote hain.”

Sache Satram ne kaha-

“Jaisi pireet pariwar se hoti hai agar vaisi bhakti Satguru ke liye ho to sab bandhan mit jaien ge aur lazmi moksh pirapti hogi.”

Sache Satram ne kaha-

“Deen/dukhyon ko Daan dena sab se utam kaam hai, per jise Daan dene ki takat na ho woh koi achhai kare us ke liye wohi Daan hai.”

Sache Satram ne kaha-

” Guru/baron ka sang karna, Naam simran karna,ekant vaas (mon virat)aur dheeraj rakhna sada sukhi rakhne ke sadhan hain.”

Sache Satram ne kaha-

“Khushali ESHWAR ki rahmat aur garibi us ki shiksha samjho. Kyon ki sada shukr karne se us ki rahmat barasti hai aur kasht kafoor hote hain.”

Sache Satram ne kaha-

“Jo sharir ko kasht de kar bhi Aatma ko shudh rakhte hain yane dukh me bhi sharafat nahi chorteaison ke sang rahmat ke duwar khol dete hain.”

Sache Satram ne kaha-

“Parmatma kitni bhulon ko maaf kar deta hai agar insan US ki us rehmat ko yaad kar kisi ki bhulon ko maaf karna sekhe to mahan ban jae.”

Sache Satram ne kaha-

” Naam simran se insan Satya, Santosh,aur sukh ki khan pa leta hai. Aur sabhi Tirthon ke fal pane ka patra ban jata hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Jaise achhe kam karne wale ko puruskar aur kharab kam karne wale ko dnd milta hai vaise punya wale ko sukh aur paap wale ko dukh milta hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Giyan se insan neki ki unchaiyon ko chhote hue lok me har jagah barhai aur parlok me param aanand ko pata hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Khushmizaji se upwas karne wale Malik ke karib aa ke fal pate hain.Per hamdardi/dikhawe ke liye upwas wale fal heen rahte hain.”

Sache Satram ne kaha-

“Buzargon ki izat aur bachon ko piyar va sanskar dene wala insan sada sukhi rahta hai.”

Sache Satram ne kaha-

” Vidya (education) se jiyada koi amiri aur ashiksha (uneducate) se jiyada koi garibi nahi hoti.”

Sache Satram ne kaha-

“Sansar me apne vichar (think) se jiyada koi mitr ya shatru (dost/dushman) nahi. Soch bahter karo sab karya sidh ho jaenge.”

Sache Satram ne kaha-

“Tapasya ki aor akrashan (chahat) aur vilasta (aish v ashrt) se nafrt mehsoos hona manav (insani) subhav ki srishta (oonchai) hai.”

Sache Satram ne kaha-

” Yog aur sakhshyam (kabil aur karne laek) hote hain, sab ki madad aur shubh karam karne wale ESHWARI rahmat pate hain.”

Sache Satram ne kaha-

“Giyan se sahi aur galat ko samajhne ka vivek ( zamir/tamiz) pa kar kharabi chhor kar sahi samat /manzil milti hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Satya , asatya se aur bhalai, burai se kai guna ziyada prabhavshali hoti hai yeh do khubiyan jiwan me aane se insaan manav se Mahan ban jata hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Jo kaam, kirodh, lobh, mad aur moh jaise durguno ko maat de woh Sat purush aur un me doobne wala kumati hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Ersha (hasad), jalan sab papon ki buniyad hai kiyon ki doosre ko gira kar khud uthne ki soch khud ko neeche leti hai. Isliye Subh bhav rakho.”

Sache Satram ne kaha-

“Vidya, anubhav (tajarbe) aur dharam ki jankari rakhne, rahne aur us pe chalne wala insaan teerth ke saman shudh aur pavitra hota hai.”

Sache Satram ne kaha-

” Trishna (lalach/hawas) ko jeetne wale se dukh aise jate hain jaise kamal ke phool se barsat ki boonde.”

Sache Satram ne kaha-

“Jo insaan apne dukh ko dukh na samjhe aur doosre ke dukh ko sukh me badal de wohi Mahan hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Pavitra pustaken aur Santon /Veeron ki kahaniyan mastakash (dimagi sobh)ko vaisi shakti se bhar kar insan ko Mahan bana deti hain.”

Sache Satram ne kaha-

“Sad karya (achhe kaam) insan ko Mahan aur dusht (bure) insan ko haiwan me badal dete hain So Sad karya me sada tatpar raho.”

Sache Satram ne kaha-

“Doosron ke aansuon se ya auron ko dukh de kar payi gayi khushi khud ko rulane wali hoti hai . Isliye khushi dekar khushi lo.”

Sache Satram ne kaha-

“Shant chit se kiya dhiyan aur NAAM Simran hi ESHWARI rahmaton aur Shaktiyon ko pate hue prabhu Pirapti tak pahunchata hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Ek sputra se kul ki kirti aise barhti hai jaise ek beej se anant (bahut) fal. Isliye bachon ko sanskarwan banao.”

Sache Satram ne kaha-

“Ek Kputra se pariwar ki kiirti aise nasht hojati hai jaise ek sukhe per ko aag lagne se jungle. Isliye bachon se kharabiyan door rakho.”

Sache Satram ne kaha-

“Aavk (amdani)ke hisab se sahi kharcha dhanwan/dayawan banta hai Aur ziyada/fazul kharcha kangal/gunhagar kar deta hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Shatru (dushman) ko khimya (maaf) aur virodhi ko sahn (bardasht) karne walon ke shatru bhi mitr ((dost) ban jate hain.”

Sache Satram ne kaha-

“Punya/paap kisi ke liye bhi kren per us ka fal khud ko hi milega. Koi bhi us me sathi/bhagi nahi hoga. Isliye kisi ke liye paap na karen .”

Sache Satram ne kaha-

“Apni bhool/ galti ko khud dekhen. Aur us ka prashchit (pachtava) yeh ho ke woh galti khabhi na hone pae. To insaniyat ki oonchai ho gi.”

Sache Satram ne kaha-

“Phoolon ki sugandh sirif jis taraf ki hawa ho us taraf jati hai per Insaani Gunon ki khushboo to har taraf ooper/neeche tak fael jati hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Jiwan,Dhan/Laxmi ,nahi per un ki chahat/lalach bandhan me bandh leti hai. So apni chahon ko sahi rah dena hi Maalik milan ka marg hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Dil poore sharir me ek aisa mans ka tukda hai jis ke sahi hone se sab sahi aur kharab hone se sab kuch kharab ho jata hai. So dil saaf rakho.”

Sache Satram ne kaha-

“Jo ghirna (Nafrat) ko ghirna se nahin per prem se use badalta hai wohi sansar me izat aur aage Malik ki rahmat ka patr hota hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Jo musibat me aae insan ko chhutkara dilata hai woh achhai us pe ane wali musibaton ko baha kar le jati hai.Aur sada khushi deti hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Jaise agni se khana pakta hai aise Sache Satguru se paya Giyan hi insaniyat ki oonchai ya mukti tak pahunchne ka matra marg hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Ekant me NAAM SIMRAN se ESHWARTA tak pahunche hue hi Sidh,Satguru,Nath/Budh hote hain.”

Sache Satram ne kaha-

“Sab ke liye Sukh, Kalyan v sad bhavna karne wale insan ke sabhi kasht vdukh apne aap hi nasht ho jate hain. Sab ka sukh chaho aur sukhi raho.”

Sache Satram ne kaha-

“Jis Ghar, Dham, Sthal, Desh me niyamon ( rules and regulations) ki raksha hoti hai wahan Pyar, Pavitartai,Sukh,Samvardhi,Aman v Shanti rahti hai.”

Sache Satram ne kaha-

” Mahan Udesh (azim maqsad) ke liye balidan dene wale har zindah insan ki dharkan ban kar amar rahte hain. Udesh mahan banao aur oonchai ko pao.”

Sache Satram ne kaha-

” Satguru seva/simran se giyan pirapt hota hai aur giyan se insan budhishali (akalmand) hoke nirbhai (bekhaof) ho jata hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Suvichar (positive thinking) kisi bhi karya ko safalta tak pahuncha deta hai .”(Niyat saaf manzil aasan).”

Sache Satram ne kaha-

“Jaise tairne wala apne saath doosre ko bhi par pahuncha deta hai vaise PURNA SATGURU sharan aae ko le kar bhav sagar par laga deta hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Dharam se vimukh (palan na karne wala) yash heen rahta hai,per sab jante hue bhi amal na karne wala yahan/ wahan kahin pe sukh nahin pata.”

Sache Satram ne kaha-

“Sant aur Mahatma aise parjuwalit deep hain jo sab ke andhkar ko mita ke prakash mai bana den. Aur khud un ko kali aandhi bhi na bujha sake.”

Sache Satram ne kaha-

“Sirif ESHWAR NAAM lene se use paya nahin ja sakta . Par han jab SATGURU kripa se WOH andar bas jata hai to MAALIK MILAN hota hai Guru Puja Ashirwad.”

Sache Satram ne kaha-

“Jis Dil, Ghar , Jagah/Aasthan pe Naam Simran aur ESHWAR BHAKTI hoti hai woh Swarg/Vaikunth ki tarah PRABHU Kripa kendra ho jata hai.”

Sache Satram ne kaha-

“Shaturta (Dushmani) rakhne wale se bhi Mitrata(Dosti) ki bhavna rakhna aur nibhana sarv siresht gun aur pursharth/manav mahanta hai.”

Sache Satram ne kaha-

“.”

Sache Satram ne kaha-

“.”

Sache Satram ne kaha-

“.”